Thursday, December 13, 2007

Dahi vada

1. Moong daal chilke waali ya bina chilke waali ( apni apni pasand par ) ya dono half half mix karke raat ko bhigo dain.
2. Subha usko mixer main grind kar lain (dhiyan rahe ki peesne main jiyada paani nahee dalna hai varna pitthi bahut liquidi ho jaayegi )aur phir churner se churn kar lain.
3. Ab ek kadhai main oil garam karke us main pakodi bana lain tatha ek bartan main paani lekar usmain thoda namak mila lain aur pakodi utarte hee is paani main dubote jaaye.
4. jab pakodi soft ho jaayain tab chhane hue dahi main thoda sa namak daal kar paani main daali hui pakodiyon ko halke haath se sara pani nichod kar dahi main daal kar rakh dain.
5. aadhe ghante baad bhuna hua pisa zeera ,laal mirch aur meethi chatni daal kar serve karain

--Sushil

No comments:

Post a Comment

Every day is Earth Day!

In honor of Earth Day today, here's Boog making recycled paper! And Shoo's beautiful Earth Day poster from 2019! ...